Thursday, March 25, 2010

Vapis jane ka koi rasta na raha aur aage badhne ki na koi umeed

Bhavar main giri hui si thi jese .
Ek chor se dosre chor tak pani ke tez thapede pad rahe the,
Muje ab jeene aur marne ke beeche ka kuch farak malum he nahi padh raha tha
Vapis jane ka koi rasta na raha aur aage badhne ki na koi umeed.

Sunday, January 03, 2010

abhi bhi sach pooch to muje sapno main he jeena accha lagta hai


पूछो तो कितने सवाल बेमतलब से दिखते है 
सोचो तो कितनी कहानियां बिना सार की नज़र आती है 

बहुत टूटे हुए सपने मेरे आस पास घुमते है 

कबसे थमा हुआ पानी मेरी आँखों मैं अभी भी तेरता है 
धुंधलाई हुई राहें अभी भी दूर तलक निकल जाती है 
वापिस मेरे पास नहीं आती 
सच पूछो तो मुझे अभी भी सपनो मैं ही जीना अच्छा लगता है 



Poochon to kitne saval bematlab se dikhte hai
Sochoon to kitni kahaniyan bina sar ke nazar aati hai
Bohot tooti hue sapne mere irdh girdh ghoomte hai
kabse thama hua pani mere aankon main abhi bhi teerta hai
thundlai hui rahe abhi bhi door tak nikal jati hai ,
vapis mere pass nahi aati
abhi bhi sach pooch to muje sapno main he jeena accha lagta hai